Kishore Kumar Hits

Aziz Mian - Haye Kambakht Tu Ne Pee Hi Nahin текст песни

Исполнитель: Aziz Mian

альбом: Aziz Mian Greatest Hits


Samajh samajhna samajh kay samjho
Samajh samajhna bhi aik samajh hai
Samajh samajh kay bhi jo na samjhay
Meri samajh main who na samajh hai
Lutfay main tujh say kia kahoon nadaan
Haye kambakht tu nay pi hee nahi
Aflak say khenchi jati hai
Seenon main chuphai jati hai
Tauheed ki meh sagar say nahi
Aankhon say pilai jaati hai
Leh urnay wali hai
Meh urnay wali hai
Yeh mehkash uranay walay hain
Aik tau nahee, chauda pilanay walay hain
Are Batlaye deta hoon tujhay mehkhanon ka pata
Batao Kazmen, khurasan, samarra
Khursheed muddah mera burj e sharaf main hai
Aik saqi karbala main mera aik najaf main hai
Kuch is adaa say karishmay dekhaye jaatain hai
Adaa shanakht bhi dhokay main aye jaatay hain
Yeh mehkada hai, tera madressa nahin waiz
Yahan sharaab say insaan banaye jaatey hain
Sarmad nay tau yeh aylan kia
Ham sar ko kata kar peetay hain
Tabrez nay di hans kar yeh sada
Hum khaal khincha kar peetay hain
Musa nay kaha kia peetay ho
Hum hosh uraa kar peetay hain
Peena toh unhee ka peena hai
Jo arsh par jaakay peetay hain
Saradar e jahan, mehboob e khuda
Kay naaz o neem kay paalon say
Mehshar main jo hain kausar kay sani
Un kaali kamalia waloon say
Peena ka tareeqa aye waiz
Jaa poonch ali kay laalon say
Jo sabr or raza kay banday hain
Who khoon main naha kar peetay hain
Farmaya laeenon say shah nay
Kia humko kami hai paani ki
Dekhlai mussallay kay neechay
Aik nehar see jari paani ki
Ghabraye sitamgar phir saray
Jab dekhi rawangi paani ki
Shabbir nay hans kar farmaya
Yeh baat tumhein dikhlani thi
Dozakh say hum apnay nana ki
Ummat ko chora kar peetay hain
Saaqi aya sooh e madina
Haat main lay kar jam e kausar
Are main na peeyon tau main kaafir
Aur tu na peeyay tu to kaafir
Are nasay main kahin lafzon ka denay lagay dhoka
Nadaan meh e haq ko na samjhay kahin tharra
Jis wastay rumi nay bohat pehlay kaha tha
Khud kooza ho, khod kooza gar ho, khood gil e kooza
Teray sheron kay haqeeqat main na maani samjha
Meray sheron kay haqeeqat main na maani samjha
Wada e haq ko tau angoor ka pani samjha
Tu nahin jaanta arbab e gharibat kay usool
Teray behooda sawalaat barabar hain fazool
Tu nahin jaanta peymana kisay kehtay hain
Tu nahin jaanta mehkhana kisay kehtay hain
Istelahat e tassawuf ki nahi tujh ko khabar
Haq ki rah main milta hai jahan kaif e nazar
Gor chashmi say tujhay khoti khari lagti hai
Aur meh irfan bhi tujhay laal bari lagti hai
Meray sheron kay haqeeqat main na maani samjha
Wada e haq ko tau angoor ka pani samjha
Tu nahin jaanta arbab e gharibat kay usool
Teray behooda sawalaat barabar hain fazool
Tu nahin jaanta peymana kisay kehtay hain
Tu nahin jaanta mehkhana kisay kehtay hain
Istelahat e tassawuf ki nahi tujh ko khabar
Haq ki rah main milta hai jahan kaif e nazar
Gor chashmi say tujhay khoti khari lagti hai
Aur meh irfan bhi tujhay laal bari lagti hai
Ahl e danish nay teray zehan ko kaisa samjha
Baad a e sher ko jis dam tumhein tharra samjha
Meh tauheed ki mainay tau wazahat ki thi
Tu na samjhay aray nadaan yeh qismat teri
Rumi o hafiz o khayam ka beta hai kalam
Jam o meena kay libaday main qareebat hai tamam
Naasiha, tujh ko naseehat kay siwa kaam nahi
Aray jaam main gharq na kardoon tau mera naam nahi
Aray kaun kehta hai sharab e ishq e Muhammad hai haram
Yeh who sharab hai jisay parwardegar peeta hai
Allah ki inayat hai ki main saif zaban hoon
Nasah main teray wastay ek koh e garan hoon
Tanqeed main taamer thi jis wastay chup tha
Warna yeh samajh lain kay main aziz mian hoon

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Похожие исполнители