Kishore Kumar Hits

Aziz Mian - Allah Hi Jane Kaun текст песни

Исполнитель: Aziz Mian

альбом: Qawwali Night, Vol. 2


Nuh ko jab mouj e tufaan mein kinara mil gaya
Aur kaleem ullah ko lutf e nazara mil gaya
Husn e yusuf ko zulekha ka ishara mil gaya
Al madad har ek bechare ko chara mil gaya
Hum garibo ko muhammad ka sahara mil gaya
Munawwar jis tarah se hai chand taro ke jhurmut mein
Masiha jis tarah baitha ho bimaro ke jhurmut mein
Shama
Shama
Shama jis tarah se chalti hai pardaro ke jhurmut mein
Ba roze hashr
Aey iman walo bas isi surat
Muhammad honge gunaahgaaron ke jhurmut mein
Arbaab e nazar ko koi aisa na milega
Insaan to mil jayege maulana na milega
Tareekh agar dhoondegi saani e muhammad
Saani to badi cheez hai saaya na milega
Aankh gulabi...
Aankh gulabi, mast nazar hai
Allah hi jaane kaun bhashr hai...
Aankh gulabi mast nazar
Allah jaane kaun bashar hai
Khwab e rahat mein the umme haani ke ghar
Jibrael ne aake sunai khabar
Chaliye chaliye shehensha e wala duhar
Haq ko shauq e laqa aaj ki raat hai
Jaago jaago shahensha e dunya o deen
Uttho uttho zara laa makaan ke makeen
Dekho dekho ye haazir hai rooh ul ameen
Rooh tum par fida aaj ki raat hai
Yaa nabi barq se tez hai burraq aapka
Kyu ke khaliq ko hai ishteyaaq aapka
Ab nahi dekha jata firaaq aapka
Jald chalna rawaan aaj ki raat hai
Baagh e aalam me baad e bahari chali
Sawar e ambiya ki sawari chali
Ye sawari so e zaat e baari chali
Abr e rehmat utha aaj ki raat hai
Jald shoq e talab har kadam sath hai
Daye baaye farishtoo ki barat hai
Sar pe noorani shehre ki kya baat hai
Shah dulha bana aaj ki raat hai
Itr e rehmat farishte chhidakte chale
Jiski khushbu se raste mehekte chale
Chand taare chalu me chamakte chale
Kehkashaan zer paa aaj ki raat hai
Ghat wo ghat jis ghat mein baat ho
Baat wo baat jis baat mein baat ho
Raat wo raat jis raat mein baat ho
Lutf us baat ka aaj ki raat hai
Aur nabiyo ko ye martaba hi nahi
Arsh e azam pe koi gaya hi nahi
Aisa rutba kisi ko mila hi nahi
Jaisa rutba tera aaj ki raat hai
Us taraf jab sawari arsh pe pohchi
To us taraf rehmat e haq ke johar khule
Is taraf se shifa'at ke daftar khule
Keh diya dekh hai faiz ke dar khule
Maang jo maangna aaj ki raat hai
Shey ne arz ki
Ummat
Ummat
Ummat gunaahgar hai
Bakhsh de mere malik tu gaffar hai
Tujhko aasaan hai mujhko dushwaar hai
Fikr e roz e jaza aaj ki raat hai
Fir kaha haq ne
Aye mahpaar e nabi
Tu mera chaand aur taare nabi
Aisa ghabrana
Aye mere pyare nabi
Aisi jaldi hi kya aaj ki raat hai
Lutf jab hai ke dekhenge saare nabi
Teri ummat pe barsegi rehmat meri
Bakhsh duga qayamat me ummat teri
Tujhse waada mera aaj ki raat hai
Tu na mujhse alag
Mein na tujhse alag
Aur jo tujhse gaya
Wo mujhse gaya
Aur jo tujhse mila
Wo mujhse mila
Bas yahi faisla aaj ki raat hai
Fir kaha haq ne
Jalwa mera dekh le
Jo tujhe dekh le
Wo mujhe dekh le
Mein tujhe dekh lu
Tu mujhe dekh le
Dekhne ka maza aaj ki raat hai
Allah hi jaane kaun bashar hai
Aankh gulabi salallah ki
Aankh gulabi mast nazar hai
Allah hi jaane kaun bashar hai
Surat mein fakeeron ki
Jab shah e hijaaz aaya
Bando ne kaha bando se wo banda nawaz aaya
Awez ko jab dekha
Subkaane falak bole
Wo dekho muhammad ka
Ek khushta e naaz aaya
Imaam bane aaqa
Kya shaane imamat hai
Nabiyon ne safein bandhi
Jab waqt e namaz aaya
Tayyab imam
Tahir imam
Yaseen imam
Muzammil imam
Mudassir imam
Balke muhammad imam
Imam aage
Isa piche musa unke aage
Ab ba waqt e sajda
Isa ka sar musa ke qadmo mein
Musa ka sar yahya ke qadmo mein
Yahya ka sar zikariya ke qadmo mein
Zikariya ka sar yunus ke qadmo mein
Yunus ka sar yusuf ke qadmo mein
Yusuf ka sar yakub ke qadmo mein
Yakub ka sar ayyub ke qadmo mein
Ayyub ka sar ishaq ke qadmo mein
Ishaq ka sar ismail ke qadmo mein
Ismail ka sar ibrahim ke qadmo mein
Ibrahim ka sar saaleh ke qadmo mein
Saaleh ka sar khizr ke qadmo mein
Khizr ka sar zulkarnain ke qadmo mein
Zulkarnain ka sar suleman ke qadmo mein
Suleman ka sar daud ke qadmo mein
Daud ka sar idrees ke qadmo mein
Idrees ka sar lut ke qadmo mein
Are lut ka sar nuh ke qadmo mein
Aur nuh ka sar adam ke qadmo mein
Itne sar sajde mein jaye tab ek muhammad banta hai
Allah hi jaane kaun bashar hai
Aankh gulabi salallah
Aye syedna ki
Pesh e rasul
Ek din jibreal the khade
Fakhr e daraaz e umr ko dil mein liye hue
Darbar e nabi aarastaa
Jibreal maujod
Khayal aaya
Jahan tak takaza e umri hai
Jahan tak umr ka lihaas hai
Jahan tak umr ka hisaab hai
Ba lihaas e umr
Ba takaza e umr
Ba hisaab e umr
Main nabi e kareem se bada hu
Udhar khayal
Idhar pe chehre pe tabbassum aaya
Has kar yun jibrael se
Yun kehne lage nabi
Aey jibrael kya umr hai tumhari batlao to sahi
Ki arz
Jibrael ne
Ya syyed ul bashar
Mujhko to apne bare me bas itni hai khabar
Ya nabi
Hota sar e arsh tulu ek sitara
Sattar hazar saal ke baad dubara
Andaaza
Meri umr ka kijiye shah e balaa
Mene sattar hazar martaba dekha hai wo tara
Ye sun ke
Mustafa ne kaha jaan sakoge
Aye jibreal wo tara agar dekha to pehchan sakoge
Ye keh ke sarkar ne sar se amama jo hataya
Pehani e nabi mein wo tara nazar aaya
Allah hi jaane kaun bashar hai
Aankh gulabi salallah ki
Aankh gulabi mast nazar hai
Ali se pucha kisi ne
Maula
Iska sabab kya hai
Ke kalme mein nabi ke naam ko maa baad rakha hai
Bhala ye aashiqui kesi hai
Ye ishq kesa hai
Rakhe maashooq ko piche
Ye kab aashiq ka shewa hai
Aitraaz kiya
Ek taraf
Wa maa arsalna ka illa rehmatullil aalameen
Ek taraf sahib e meraj
Ek taraf muzammil
Ek taraf mudassir
Jab kalme ka makam aaya
Apna naam pehle
Mehboob ka baad mein
Mayaar e muhabbat to ye tha
Apna naam baad mein rakhta
Mehboob ka naam pehle
Aitraaz kiya
Ali ne is tarah samjhaya
Us gustaakh e behad ko
Are nadaan tu samjha nahi hai raaz e kudrat ko
Khuda ne is liye rakha hai piche
Naam e ahmed ko
Ke naa paki mein na le le koi naam e muhammad ko
Zabaan khul jaye
Pehle naam jab Allah ka nikle
Phir uske baad mein
Kalma rasulullah ka nikle
Allah hi jaane kaun bashar hai
Aankh gulabi
Aankh gulabi salallah ki
Aankh gulabi mast nazar hai
Allah hi jaane kaun...
Madine mein kisi patthar ke niche meri turbat ho
Wo pathar bhi jo unke dar ka hoto behtar ho
Aur us patthar pe naksh e paa e sarwar ho to kya kehna
Matti na ho barbaad
Bas e marg e ilahi
Jab khaak ude meri
Madine ki hawa ho
Are na hua
Aap sa paida koi
Mumtaaz nabi
Aap pe khtm hyi izzat o ala nasabi

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Похожие исполнители