Ek dafa ka zikr hai Ek ghanay jungle main ek chhota sa jugnu rehta tha Woh roz raat ko jungle main bhatkay hu'on ko rah dikhata tha Ek raat jugnu issi tarhan apnay khoj pe tha Ke uska darya ke kinaray guzar hua Uss raat pata nahin kya baat thi Ya shayad jugnu ka dehaan kahin aur tha Jo bhi tha Jugnu ne zindagi main pehli dafa chand ka aqs dekha Andheray ka bojh sambhalna mera kaam hai Tum kaun ho Kaisay phel gaye ho jahan main Tareeki se kya nahin dartay ho Kuch kehtay kyun nahin Phir ek raat bohot tez toofan aya Jab jugnu ne apni ankhen kholeen Tau ek bohot baray se pahaar pe tha Jo manzar apne samnay paya Uss ne uski dunya hi badal di Hoon main jo waqt hai jab se Kaisay samjho ge main kaun hoon Chhoti si roshni se Kaisay yahan tak pohonchay ho Kuch kehtay kyun nahin Qissa abhi jaari hai Agar aap kahani ka baqiya hissa sunna chahtay hain Tau cassette ki side B lagaiye