Yeh hai meri kahani Khamosh zindagani Sannata keh raha hai Kyun zulm seh raha hai? Ek daastaan purani Tanhai ki zubani Har zakhm khill raha hai Kuch mujh say keh raha hai Chubtay kaantay yaadon kay Daaman say Chunta hoon Girrti deewaron kay Aanchal mei Zinda hoon Bus yeh meri kahani Be-nishaan nishaani Ek dard beh raha hai Kuch mujhsay keh raha hai Chubtay kaantay yaadon kay Daaman say Chunta hoon Girrti deewaron kay Aanchal mei Zinda hoon Bajayay pyar ki shabnam Meray gulistan mein Barastay rehtay hain har simt Maut kay sayay Siahiyon say ulaj parti hain Meri aankhain Koi nahi Hai koi bhi naee jo batayay Kitni dair ujalon ki raah dekhoonga? Koi nahi Hai koi bhi nahi, na paas... na door Ek pyaar hai, dil ki dharkan Apni chahat ka jo aylaan kiyay jaati hai Zindagi hai jo jiyay jaati hai Khoon kay ghoont piyay jaati hai Khwab kaanton say Khwab kaanton say siyay jaati hai ♪ Ab na koi paas hai Phir bhi ehsaas hai Siahiyon mei uljhi pari Jeenay ki ek aas hai Yaadon ka jungle yeh dil Kaanton say jal-thal yeh dil Chubtay kaanton yaadon kay Daaman say Chunta hoon Girrti deewaron kay Aanchal mei Zinda hoon ♪ Chubtay kaanton yaadon kay Daaman say Chunta hoon Girrti deewaron kay Aanchal mei Zinda hoon