Mehroom hue din, yeh raatein gawaah hain Hai gham yeh khushi kya? Yeh kaise imtehaan hain? Dar-ba-dar har shakhs dhoonde zindagi jo laapta hai Sun sake na bas koi, deewaren darmiyaan hai Aarzoo dhoonde khushi ke thikaane Lafzon mein qaid zindagi ke chand bahaane Aarzoo dhoonde khushi ke thikaane Lafzon mein qaid zindagi ke chand bahaane Awaaz de mujhe, oh, mere azeez Kayaamat si yeh shaam jab dhale Tham gaya hai har koi ki neendein rusva hai Doobti hai pal-pal hasrat, yeh kaise ab makaam hai Ghum hai, chup hai sar-zameen ke rakhwaale Nishaan-e-manzil ka mujhko tu ab pata de Awaaz de mujhe oh mere azeez Kayaamat si yeh shaam jab dhale Is mausam kе toofan kab honge kinaare Shayad kal naya ho toh phirse muskuralе Shayad kal naya ho toh phirse muskurale Shayad kal naya ho Shayad kal naya ho toh phirse muskurale