Kishore Kumar Hits

Turaab - Tere Saath текст песни

Исполнитель: Turaab

альбом: Ik Daffa


Bewaqt kyun pareshaan hota hai
Meri jaan pyaar mai aisa hi hota hai
Lab par aati hai aur tham jaati hai
Dil ki baat dil mai hi reh jaati hai
Likhta hoon tau gum ho jaate hain
Mere alfaaz sab toot jaate hain
Tum guzro paas se tau yun lagta hai
Mein agar tha bhi tau nahi hoon
Tere saath saath chalta hai
Mera pyaar yun barhta hai
Kabhi ruk kar dekh le
Yeh dil kyun dharakhta hai
Kitni sadiyaan guzr bhi gayi laikin
Intezaar mai gum mein abhi khara hoon
Mujhse na puch rukne ki waja
Iss beqaraarpan mai mein kabse para hoon
Parda teri narzon ka tha meri chaahat ka nahi
Kabhi jo uthaa lete yun mein ro chala hoon
Laut kar phir tu aaye ga mere paas wahin
Iss khwaab ko mein kai baar dekh chuka hoon
Tere saath saath chalta hai
Mera pyaar yun barhta hai
Kabhi ruk kar dekh le
Yeh dil kyun dharakhta hai

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Похожие исполнители

Rozeo

Исполнитель