Raat yun dil mein teri khoyi hui yaad aayi Jaise veerane mein chupke se bahaar aa jaye Jaise sehraon mein haule se chale baad e naseem Jaise beemaar ko bewajah karaar aa jaaye Kitne badal gaye hain woh halaat ki tarah Jab bhi mile hain pehli mulakaat ki tarah Teri jafa kahun ke inayat kahoon isse Gham bhi mila mujhe kisi saugaat ki tarah Dil mein ghamon ki aag bhadakne lagi to hum Roye hain phoot phoot ke barsaat ki tarah Hum kya kisi ke husn ka sadka utaarte Ik zindagi mili hai wo khairaat ki tarah Bujhi hui shama ka dhuan hoon Aur apne markaz ko ja raha hoon Ke dil ki hasrat mit chuki hai Ab apni hasti mita raha hoon Teri hi surat ke dekhne ko Buton ki tasveeren la raha hoon Ke khoobiyan sabki jama karke Tera tasawwur jama raha hoon Kafan mein khud ko chhupa liya hai Ke tujh ko parde ki ho na zehmat Naqaab apne liye banakar Hijaab tera utha raha hoon Udhar wo ghar se nikal pade hain Idhar mera dam nikal raha hai Ilahi kaisi hai ye qayamat Wo aa rahe hain main ja raha hoon Muhabbat insaan ki hai fitrat Kahaan hai ibkan e tark e ulfat Wo aur bhi yaad aa rahe hain Main unko jitna bhula raha hoon Roz kehta hoon bhool jaun unhein Roz ye baat bhool jata hoon main Nahin aati to unki yaad barson tak nahin aati Lekin jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain Zubaan pe labdaik har nafas mein Jabeen pe sajda hai har kadam pe Yun ja raha butkade ko naatik Ke jaise kaabe ko ja raha hoon