Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein Ke Hazaron Sajde Tadap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz Mein Tarb Ashnaye Kharosh Ho Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh Ho Woh Surood Kya Ke Chupa Huwa Ho Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse Tera Aaeena Hai Woh Aaeena Keh Shikast Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein Dam-e-Tof Karmak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-Kuhan Na Teri Hikayat-e-Souz Mein Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili Jo Amaan Mili To Kahan Mili Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Afuw-e-Banda Nawaz Mein Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan Na Woh Husn Mein Raheen Shaukiyan Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi Na Kham Hai Zulf-e-Ayaaz Mein Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Aane Lagi Sada Tera Dil To Hai Sanam Ashna Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein