Ye Hath Salamat Hai Jab tak Is Khoo'n Hararat Hai Jab tak Is Dil Me Sadaqat hai Jab tak Is Nutq me taqat hai Jab tak In Tauq o Salasil Ko Ham tum Sikhlaaye'n Shorish e Parbat o nay Wo Shorish, jis k aage Zaboo'n Hangama e tabl e Qaisar o kay Hangama e tabl e Qaisar o kay Aazad hai apne Fikr o Amal Bharpoor Khazeena himmat ka Ak Umr hai apni, Har Saa'at Imrooz Hai Apna Har Fardaa Imrooz Hai Apna Har Fardaa Ye Sham o Sahar, Ye shams o qamar Ye Akhtar o kokab Apne hai Ye Loh o qalam, ye tabl o Alam Ye maal o hasham sab apne hai Ye maal o hasham sab apne hai Ye Hath Salamat Hai Jab tak Is Khoo'n Hararat Hai Jab tak Is Khoo'n Hararat Hai Jab tak Ye Hath Salamat Hai Jab tak Ye Hath Salamat Hai Jab tak Ye Hath Salamat Hai Jab tak