Ye dooriyan kyu khaye jaaye Faasle attet mein mujhe bulaye jaane kyu Roshni hai duur par sataye kaale saaye Ab dekhu asmaan hai neeche hum kahan pe aaye Lagi hai jaane kyu daud, aur fasa pada tere chahat ke sheher mein Khayi hai kasm-e-maut aur baaton mein bahar bas zeher hai Zehen mein basa hai noor ab duur main bhagta rehta sukoon se Ghar ka pata nahi bas seeshe mein dekh ke ho jaate choor ye Akela sa hai bhi ye raasta Sach ko jhoot ka waasta Kaun sahi aur kaun galat Bas meri ghadi ka kanta Na jaane aaj kal kahan pe hai basera mera Na jaane aaj kal kahan pe mann ye tehra mera Khudi ke mann ko rakha dusra aur hamesha rakha pehla tera Tan se saaf par mastishk hai kyu maila mera Raaste hai bhi hazaar sab chalte ussi pe jo hai mashoor sa Aadaten lagi kharab vo chunte ussi ko jisme junoon na Lage hai manzil ye khojne, safar mein khudi ko koste Ab dikhe ujala na raat mein sab ye apni ummeden dabochte Alag ye raah sabhi hai duur, alag vichaar na dikhe gurror Jo hai chah dikhe ab mool, bandhe na hath kyu chale ab samay se duur Bhaag ke thak chuke Saans bhi ab ruke Bhaag ke thak chuke hum Saans kyu ab ruke