Ankhen hai band, na samajh hai kal ki Khudi se duur jo rehta hun Hun khudi se duur na dikhe sabar Toh main yun sukoon mein jeeta hun Ankhen ye kholi toh seeshe hai samne Jhoot ki duniya mein jeeta hun Mastishk ye gehra, insaan toh paani Main khudi mein doob ke rehta hun Jo bhi hai chaha vo kar lena aaj Aur jiski na chahat vo hi hai samaj Vo log hai paanch aur ek hai dwar Na jaane kyu puche vo itne sawaal (Asal mein) Asal mein Khudi se aaj, puche sawwal Khudi se duur aur khudi ke paas... Jab ankhen ki band toh taare hai sath Aur jhoot ke saaye mein noche naqaab (Jhoot ka saaya) Yun aadhi baaten karke baagta main Beej hun khudke vinaash ka main Jo aaye na vohi khayal tha main Sawalon ke mere jawab tha main Ab jaanu na raaste koi Vo mujhe batade kya meri hai daastan Na rakhe ab Raaz the koi Par mujh mein ab kuch bhi hai karne ki aas na Hawa bhi dikhti hai chaaron aur Par mujhe ab dikhti hai saans na Ankhen hai band, na samajh hai kal ki... Khudi se duur jo rehta hun Hun khudi se duur na dikhe sabar Toh main yun sukoon mein jeeta hun Ankhen ye kholi toh seeshe hai samne Jhoot ki duniya mein jeeta hun Mastishk ye gehra, insaan toh paani Main khudi mein doob ke rehta hun Akela baitha main toh likhi thi do baat Janu na aaj... kya hai mere halaat Khudi ko dhundta subah se shaam Inn kaali baaton pe na lagta viraam Ye kaale saaye ab na bhulte naam Main hi kyu rehta ab khudke khilaaaf Main khudi ko khojta na par Par Khudi ko koske dekhe hai maine anjaam Duur ab rehta hun baaton se kyu Duur ab rehta khayalon se kyu Duur hun unhi sawalon se kyu Duur hun khudse ab salon se kyu