Tujh jaise lakh kya tujhmein hai alag baat Nakhun laal, haan aise khureda zakhmo ko Hath mein chaku aawazen nikli ab tak do Anjaane mein puche usne sawaal itne Laal syahi mein cheekte mere akshar vo Jo sach hai ki guroor hai insaano mein Dharam hai bikta zayada yahan logon ke imaanon se Logon ke chehre karte kaale ye asaani se Samajhte kuch na bas jeete ye bemaani mein Ussi kal ke loop mein fasa main bhi aaj Bola jhoot, bhaga duur na dikha koi raah Tapke paasena, mann mein Darr na mile koi raah Ankhen laal, farsh pe khoon bas wohi khwab Lage jaise ki main thanda sa pada hun Nasen band ankhen laal jaise main jaa chuka hun Par ankhon ke asoon ab yun darr ki or bhagte Toota sapna dikhi raah khudmein jhaank ke Ye smritiyan saari really got me fu**ed up Vo bola tu lad lega sach se ab darr mat Toda seesha aayi saans lage sab sach Shayad tehraav se jeena hi asal maksad Aaj raat saare irade hai aadhe Main khudse duur bhagna chahta hun Bhot duur Jahan shayad insaan na ho ya jahan shayad imaan ho Bharosa kare kispe main apni parchai se bhi darta hun Seeshe se anken milake bhi ladta hun Raat ko sota nahi subah ho jaati hai ladte ladte Vo asal mein raat ko apne vajood se baat karna sabse galat kaam hai shayad Ek tarfa sawal ke do tarfa jawab Puche vo roz kuch khaas hai tere khwab mein Mujhe darr lagta hai, maine bol diya saaf saaf aaj Aawaz boli "Tujh jaise hai lakh, tujhmein na koi khaas baat"