Samay aur ghadi ke kaante bhi ab bas ruke na Mann ki aawazon ko bhi ab koi sune naa Sab apni dhundon mein hi gum rehte aaj kal Kisi ko khudi ki na parwah toh ab mujhe kya Aur jo baat samajh na aati insaano ko Uss pe laga dete qaide Bolu main kya muh pe hai patti Mujhe dikhdo tum aaine Hum aap ko dikhte bas fayede Loot te baato mein daalke zaike Kaisa hai jhoot ka swaad Hai jhoot fasaad, majboor mein aaj Kya khoob hai khwaab Insaano ko loot ke bhaag Ke jaana hai kis sheher mein Hai jeete hum kis vehem mein Uth te mazaaron mein Kehna hai kuch par baatein na jaati is zehen mein (Ab kya?) Mann mein lagi aag kare na koi baat ab Mann mein chor tabhi sabhi ki hai aankh band Tu bole jhoot tabhi chape aaj dhan Vo bolte rehte par ab na karte maaf hum Mann mein lagi aag kare na koi baat ab Mann mein chor tabhi sabhi ki hai aankh band Tu bole jhoot tabhi chape aaj dhan Vo bolte rehte par ab na karte Main toh gum, ghar ki khoj mei Par aas paas toh ab dikhta bas afsoos hai Ye saari chahate ab jaati mujhse duur kyu Mazaaron ke khayal rehte mere soch mein Khauf ek, aaye maut naa Tu sath toh saason ka lagta mol haan Akele na ab mujhe samajh aate raat din Tu sath toh main ghar ki karta khoj naa Seeshe ka hai makaan aur fasa anjaanon mein Muskuraya hi nahi hun ab mai saalon se Kab tak khudi ke iss jhoot ko sambhaloge Fasta jaa raha hun ab bahanon mein Aagaz kahani ka maat ke sath Ye raaz jo dikhe toh bhaagle aaj Hai khauf na mujhe iss maamle ka Samaj umeeden ye kaat dega ab Mann mein lagi aag kare na koi baat ab Mann mein chor tabhi sabhi ki hai aankh band Tu bole jhoot tabhi chape aaj dhan Vo bolte rehte par ab na karte Hai kitne log Aur milti kiski laash Hai kitna sach Na poore hote kaash Hai kinki maut nischit Likha kiska sath Yahape qisse khoob Jinme hai milti maat Hai kitne log Aur milti kiski laash Hai kitna sach Na poore hote kaash Hai kinki maut nischit Likha kiska sath Yahape qisse khoob Jinme hai mili maat