Yeh mere aakhiri hain shabd, filhaal Kuch hain khayaal aur kuch hain sawaal Mai na jaanu meri manzil hai khatam yahi Ya abhi jaana hai mujhko, uss paar Shayad antim hain yeh shabd mere Antim hi yeh shaam hai Bas kuch waqt ke saans bache aur Kuch waqt ke praan hain Bhai log mere saath hain Meri jind bhi unke naam hai Iss waqt mai jaan lgaadu saari Jitni bhi mujhme jaan hai Aan, ammi ko salaam hai Ooncha karna maine, apne abba ka naam hai Mai na bikoonga kabhi Bikenge mere gaane bade bade bade daam mei Subha se shaam hai Har raat meri, kore kaagaz ke naam hai Bas karna hai kaam pe kaam Araam ka na meri zindagi mei koi kaam hai Aan, leke kalam mere haath mei Chal pada ajj rachne ko itehaas mai Shabd pe shabd pe shabd ke waar se Kholunga ajj kuch gehre se raaz mai Bayaan jo kar na paaye Mere unn bhaiyon ki banunga awaaz mai Shor machaaye khaamoshi bhi meri Dil pe lagne vale kahu alfaaz mai Taaqat meri iss goonj mei hai Yeh taaliyaan na rukni chahiye Pyaar bhari janata ke aage Meri gardan bhi jhukni chahiye Mere saath chalne vali, ikk chahiye Jise keh saku mai jaan, ikk chahiye Mera aasmaan, mera ikk jahaan Aur usko bhi bas Manikk chahiye Yeh mere aakhiri hain shabd, filhaal Kuch hain khayaal aur kuch hain sawaal Mai na jaanu meri manzil hai khatam yahi Ya abhi jaana hai mujhko, uss paar