Bina roye mai kahaani yeh btau kaise Shuru se mai shuru karu, aakhir tak jaau kaise Itna pyaar apne dil mei samaau kaise Chehre pe raunak ke bina mai so jau kaise Log badle, badla yeh waqt hai Zamaane ki yeh reet padhau kaise Padhaya dil se, mehnat se hai, shaunk se hai Sapne mai poore kare bina thamm jaau kaise Khwaish ek meri, dil mei baatein 100 Manzil ek meri, mushkilein hai 100 Mai bolne lagu, toh awaaz ko dabaayein 100 Tu ladki hai, tujhse na hoga, bhala kai ko? YouTube ko zariya banaya maine 6 mahine mei 4-5 views aaye Mai na khush thi, aur log bhi toh haste the (Huh) mai jaanti thi mushkilein hain raste pe Par kya mai ruki? Nah. Yeh koi auction nahi Consistency ke bina koi option nahi Ek din uthi, hua chamatkaar tha Raaton raat aankda ek laakh paar tha Raaton raat ke liye mai kitni raatein soyi na Video banau, neend aaye, chalo koi na Chahe mai ghar pe, ya hu mai hostel mei 2 saalon mei 250 videos, deri kabhi hui na Kiya shuru tha jab, deta na tha sath koi Aaj party bhi chahiye unhe, yeh bhi koi baat hui Logon ke taane badalne lage tareefon mei Khush hu mai, kyunki abhi toh shuruwaat hui Dil se maangi ho jo khushiyan, voh milengi sabko Jo pehle milte na the mujhse, mile voh abb toh Mubaarak ho fam, we're 1 Lakh army now Silver button ki chamak ache se milegi sabko Mujhe chahiye na kuch bhi Meri har jeet, meri maa ke naam ho Mujhe chahiye na kuch bhi Mere kaam se hi maa ko salaam ho Mujhe chahiye na kuch bhi Teri khwaishein bhi poori karungi maa Tera haath ho sar pe Toh duniya se akeli ladungi maa Mujhe chahiye na kuch bhi Meri har jeet, meri maa ke naam ho Mujhe chahiye na kuch bhi Mere kaam se hi maa ko salaam ho Mujhe chahiye na kuch bhi Teri khwaishein bhi poori karungi maa Tera haath ho sar pe Toh duniya se akeli ladungi maa Yeh gaana kaamyaabi ki kahaani nahi Be-zubaan ko zubaan dene ki nishani hai yeh Gaon ke logon ko yeh daastaan sunani hai Unki beti jaisi beti ki zindagi ki kahani hai yeh Har sheher, har gaon, har mohalle ki Har ek beti bohot khaas hai, voh aam nahi Mile azaadi jo poori tarah, toh iss desh ki Har ek beti banegi one woman army Meri zindagi ka bas ek maksad Mere karan meri jaisi 4 aur betiyan bhi age ayein Zindagi mei bas chhaa jaayein Maidaan mei voh aag si laga jaayein Ae mere dost, logon ke peeche peeche bhaagna nahi Logon ko apne peeche bhagaana hai Vichaar aasmani, paaon zameen pe Kyunki dharti se jude rehne valon ka yeh zamana hai Degree se na judge karo kisi ko Insaaniyat ki degree alag har insaan mei Kya pata voh dancer ya singer ho acha Jiske math ya science mei aaye na number baanve (92) Meri darkhuast har maa baap se Aapke bacchon ko jo karna hai, unhe karne do Khwabon ke raaste pe chalne do Unki khushiyan aur mehnat ki aag ko balne do Teh dil se dhanyawaad meri pyaari maa ko Karne diya jo maine chaha, kabhi roka nahi Akele hi sambhala tune, abb hai meri baari Maa, tujh-sa koi na hai, aur kabhi hoga nahi Shuru se diya sath, kiya har kaam swikaar Meri maa ne diya mujhe pita ji ka pyaar Meri naa ne sikhaya mujhe aisa kuch karjane ka Ke yaad rakhe mujhe mera sheher Kotdwara Mujhe chahiye na kuch bhi Meri har jeet, meri maa ke naam ho Mujhe chahiye na kuch bhi Mere kaam se hi maa ko salaam ho Mujhe chahiye na kuch bhi Teri khwaishein bhi poori karungi maa Tera haath ho sar pe Toh duniya se akeli ladungi maa Tera haath ho sar pe Toh duniya se (Duniya se) (Duniya se)