Raat ke 3 bajke 16 minute, 16 saal ki umar se dikhta waqt yehi Saaransh mera prashna chinha Kaarkhana ke samay lagta tha sab sahi Par ab na jaa sakta uss waqt mai Kheech le aau woh waqt yahi Jawaani lagti khokhli, bachpana lagta sach nahi Kyuki bachpan na jeeya sahi se, tha mai kamzor dil, sharif sa 10 kadam chalne pe paeron ki nas ne khicha Bachpan se dard hai seekha Logon ko marte dekha aur unko khona seekha Na jeb mai khota sikka aur na khot rakh ke jeeta Kalam pakad na paata fir bhi likhta tha kavita aur kahaniya Unn lamho ne sambhal liya Thhe haath dukhte bohot fir bhi likhta apni Gita Bina aaine ko dekh khudko jaanu Bhula na woh raatein jab mai maut apni chahu Bhula na woh din jab sab haste mujhpe khulke Ab mai paas se jo guzru unke hosh le udd jaau Sangeet pe hai Sky, aakhon mai baadal baras aaye Ek waqt tha, papa ne apni jaan deni chaahi Mai zindagi ki roshni mai unki hi parchai Sach hai sahi Inn kagaazon mai Hum hai yahi Likhawaton mai Khush hai nahi Aise raasto pe Par beh rahi, beh rahi, beh rahi main Palat ta hu kitaab apni, mai bohot khushnaseeb hu Maine dekhi itni baar maut, ab mai khauf se tehzeeb lu Apne tareeko se na aata baaz, kitni baar tha mai laparwah Zimmedari ka saafa baandh, chhodu piche ateet ko Hamesha chhota ghar tha, par na chhote thhe sapne Hum na lautenge socha, ab chalte hum apneepath pe Mujhpe na koi mukadme, par jo bhi kaatte thhe raste Yeh na padh sake insaan, kya samjhenge partein Samajh aaya ki jeevan filmo se zyada dilchasp hai Tabse ban gaye kirdaar har din khudke dil bharne Apne sukh mai kin-kin ne tha bhula woh ehsaas Par jab dukh aata bharke tab atak jaati hai saans Lagti ladne, aakhon se bana rahi hai jharne Seene mai hai dhua, bante chhalle, bharte panne Waqt tham sa gaya jabse hum bhi lag gaye badhne Ho karzein sarpe bhaari tab na din guzarte padhke Kal thhe ladke, aaj hum aadmi, iss baat se niraash hi Ummeed karta aane waale din na mere aakhri Har ek saans, har ek shabd hai jawabdaari Chaandni hai raat, humein aaj kahi bhaagna nahi 3:16. GRAV