Kishore Kumar Hits

Raga - Sheher текст песни

Исполнитель: Raga

альбом: Sheher


Bachpan se
Gharke bhaar ladke 4
Papa sunle to milta sarpe bharke pyaar
Karke darkinaar sabke paer padte bhaar
Wo pehla pyaar pehla wo khumaar
Pehle kush ka wo bukhaar
Yaad hai Park bhasad mein pehla karna seekha waar
Naa teej na tyauhaar
Baithe karte jhaanj
Karte sab bakhaan kis falaane ne hai todi kiski g
Kispe lagra kitne Ka saamaan?
Kispe lagri kitni dhaara kisne kaatli tihar?
Kiska chadhta pehle paara?
Kon karta Kisko Call?
Kispe kitne ladke kiski kitni chaud?
Tooti bole kis mod pe hai kiski itni bol?
(RAGA)
Nikle raat ko jo ladke ghar mein
Ghuste hai seher mein
Mere sheher mein
Hote kaand sar-e-aam
Sadke sooni hai keher mein
Mere sheher mein
Nikle raat ko jo ladke ghar mein
Ghuste hai seher mein
Mere sheher mein
Hote kaand sar-e-aam
Sadke sooni hai keher mein
Mere
Sheher mein faily bechaini
Ek hai ni jispe sarpe Case hai ni
Kaate kales vehmi
Baato mein weight hai ni
Baato mein hate faily
Raato mein Gate tod
Fir banne chale ye kaidi
Kon kisko sikhaata hai kon kisko bataata
Main job karke kamaata tha par na karne ka iraada
Galiyo ne diye galat nashe jaise marne ka wada
Galiyo ne sapne bhi diye to pure karne wada tha
Panne bharne se zyada mai bande bharne ka khaata tha
Jiska principal badmaas wo fir kya he kar pata
Wo sochte the
Wo sochte aaj bhi utna hi
Galat saabit karta aaya par
Teka kabhi ghutna ni
Par Mera bhi uthta ni man
Girne pe jhukta ni
Rukna padta par rukta ni
Jitna karta bas utna sahi
Likhta padta par book to nahi
Sukh na milta to sutta sahi
Thukna pitna par mitna nahi
Pushte chalna par pisna nahi kya?
Samay ke sath sath roz main hu chalraha
Hu sabse tez fir bhi aaj kyu main jalraha
Ye sach hai mera mujhse tu hai kyu ye sunraha
Kya dekha mujhko muskurata?
Jo tu yu machalraha
Mere gane sunke aaj har ladka malraha
Baad se akad raha
Maal ko ragad raha
Koi apne aap mein hi jalraha
Aaj itna jo hai chalraha ye kal na tha
Naa ye meri Kalpana
Naa ye meri saltanat
Par hai bande anginat
Jinko mujhpe kal tha shaq
Par aaj sath hai aur saaz hai wo zindagi ka
Na rishta todta na jodta na hu masiha
Main karta baat seedhi saaf shabdo mein kamina
Chidh si hoti khud ko dekh samne jo seesha
Ganje aur hasheesh ka
Maal to azeez tha
Par maa ne socha na tha ki beta aisa kabhi hoga
Lega kush jo
Badhne lagte kasht to
Kadwe lagte sach
Mujhko bhadwe lagte sab log
Jitne bhi hai aas-paas saare mujhko bhaksh do
Par jitne bhi hai khaas mere
Saare mujhko lakshya do

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Похожие исполнители

Ikka

Исполнитель

Qaab

Исполнитель

Rawal

Исполнитель

GAUSH

Исполнитель