Jaha imaraatein kha jaati din ki dhoop ko Khushi failate hain bachhon ko bata kar jhooth vo Jhooth ek yeh bhi ki Chanda mama ayenge kabhi Baahon mein le kar tumhe taaron mein khilayenge kabhi Bachhe taakte asmaan ko, ummeed liye aankhon mein Jaate chhat par chaand dekhne ko fir raaton mein Par unke unche ghar se unchi imaaraten aas paas thi Par chaand dekhe bina nahi kaatni aj ki raat thi Sapnon se upar uthaya sar, aur utha le ediyan Ek gira to uske upar jhapte ban sab bhediya Kisi ki bhi nazar na thi us banere ki taraf Parchhaiyan paanch girti rahi andhere ki taraf Sapne to tootne hi the, par inke jaldi toot gaye Subah sab sochte rahe kyu yeh bachhe kood gaye Najayaz khwahish thi kya, ki unhe chaand dikh jaata Laal talaab mein khoon ke par chaand dikhta raha Matlab do hai is baat ke, bachhe baith ke raat mein Khushiyon ko sab baant'te, bachhe Chaand ko taakte Matlab do hai is baat ke, bachhe baith ke raat mein Khushiyon ko sab baant'te, bachhe Chaand ko taakte Chalo chalein kahani tumhe ek aur sunata hu Chaand sun na le, hone do bhor sunata hu Ghor sannata kyu tha, ghar mein sab chup pade the Nashe mein choor, maa-baap dono dhut pade the Chup khade the bachhe, mann mein koi shararat na thi Bas khush the, chahiye kisi ki ijazat na thi Vo jaa sakte the bahar, koi bhi rok tok naa thi Befikri thi, aa ke dekh lenge jhol mol baki Bada bhai chhote ko poora bharmaand dena chahta tha Par aj ki shaam vo bas usey chaand dena chahta tha Ginte ginte kon sa gin rahe taara bhool gaye Daudhe chaand ke peechhe, nadi ka kinara bhool gaye Hanuman ji ne pakda tha dinkar, main chaand pakdunga Doonga chhote bhai kk, main khud kuchh taare rakh lunga Masoom sa sapna yeh kuchh aise bikhra tha Do tairti laashon ke beech bhor tak chaand dikhta raha