Mera naam Ashant Anu hai Aur swagat hai apka mere Mantariksh mein Zindagi ek race hai yaha pe bhaagna padega Kayi dafa jeetne ke liye haarna padega Sapne poore karne ke liye jaagna padega Kabhi to apne aap tu khudka saamna karega Saamne rahega jab paisa aur passion Khud ki khushiyan aur ghar walon ki tension Chhote bhai ka career yan fir apna sapna Kab tak hai mahaul dil mein jang ka rakhna Ek din ayega tujhe sab yeh chhorhna padega Jo bhi liya hip-hop se vapis modna padega Todna padega yeh jo naata kalam kagaz se Maafi maangni padegi jaa ke apne father se Kehna padega maanta hu mera sapna jhootha hai Achha hi hua yeh jo mera sapna toota hai Zindagi ka ek hissa bhool jaana padega Bhulane ke liye khudko khoob jalana padega मेरा ख़ून जम चुका है मुझे तारे दिखने बंद हो रहे हैं एक आखरी रौशनी की किरन दिख रही है शायद यह चढ़ते सूरज की किरन है शायद यह उम्मीद की किरन है Meri har ik khwahish Marr kyu rahi Seene mein aag Jal kyu rahi Sooraj ke itne jo Paas hoon ab Azaad hote hote hua Raakh hai sab Aise jee jaise tu kal na rahega Agar aag ko chhoona hai to jalna padega Kalam mein khoon nichod ke bharna padega Aise jeena hai to kayi dafa marna padega Koi farq ni padega tu kal na rahega Khud karna padega ghanta karma karega Fitoor yeh aisa tere sar pe chadhega Tu haar ka hath thaam chalta rahega Fisalta rahega par sambhalta rahega Girte padte isi raha pe aage badhta rahega Dil pe sapnon ka hamesha hi to kabza rahega To shayad fir se ghar pe jaa ke ladna padega Is pagalpan mein thoda aur fasta chale jaa Roshni ka andhere paar rasta padega Daftaron pe mann ko kho ke pattharon se aansu ro ke Ek na ek din to tu hasta dikhega Marr Kyu Rahi Jal kyu Rahi Paas hoon ab Raakh hai sab Meri har ik khwahish Marr kyu rahi Seene mein aag Jal kyu rahi Sooraj ke itne jo Paas hoon ab Azaad hote hote hua Raakh hai sab