Dikhati sapne sadke dekh kabhi tu unpe chalke Dukaan pe ghumti nazre shauk sabhi hai pure karne Badhti mehangai, badh rahe mang aur badhte kharche Fir sunta charche har tedhe kaam ke jo hum hai karte Aur ladke toh sabhi chalak rula de karke mazak Sarpe na kisika hath sabpe hai ankh na pehne nakli naqaab Tu gali se bhag tu badal naad hood chode na tera sath Lafango me la tu vishwas aur samajhdaar ko ishara tu dal Kuchal ke badhta kaal na hota kaam bas zhadte baal Tu bas fukta maal aur ghumate tujhe hai tere Khayal Tere yaar sare aware gawar sangat aisi hai bekaar Unko sudhaar lake bhitar badlav rahe na koi sadak chap Hoshiyar banata jeena sikhata Mushkil me gire toh kabhi kutey jaisa bhagata Jeena chunoti yaha koi na bharosa yahaka Bhuka pyasa na rehta insaan yaha agar wo shanaa Hook Kabhi ulzhati kabhi raste milati bhalte Kabhi dilati yadein sab purane bichde pal ke Jaha insaan badhta hai ek dusre ko chal ke Sapne dikhati sadke dekh kabhi tu unpe chalke x2 Anubhav karta me jud jata in sadko se Kavita likhta me bhasha aur aksharo se Jine sunke pighalte dil ye patharon ke Bina bake jaha bas ek muskan banati rishte Kiski kamai kisika yahi ghar Na ginte kilometer koi karte rehte safar bas Akalmand bane jeeke is level par Jiska shukra guzaar rahunga me zindagi bhar Yahi par sikha mushkilon ko zhelna Ye khelna, kamjoro ka yaha bas tikta billa Neend na mehnati ko aaram se buzdil sota Har chota bachkana bhi yaha pe bajta khota Kabhi sochu kahi chale jane ki dur Koi thikane bas jau jo na ho jyada mashoor Jaha le jati rahe mann ko bhaye wo me karu Aise Jeena rehna kiya mene yahi se shuru