Ye shaamein bhi pal bhar ko rukti nahi Sooraj ki kirne bhi chubti nahi Ye raatein bhi ab soi soi lage Jaise ye sadiyon se soi nahi Thoda sa sab kuch wahi hai Thoda sa lagta naya Ye sardi ka mausam Le jayega humko kahan Dekho kho na jayein Ye lamhe aur ye sama Ye thandi hawayein kehna kya chahein Kyu main samajhta nahi Ye zahra fizayein hai kya gungunaye Sunkar toh dekho sahi Ye chalte samay ko bolo Theher bhi toh jaye zara Ye sardi ka mausam Le jayega humko kahan Dekho kho na jayein Ye lamhe aur ye sama Har ek mausam jo aaye Naa jaane vo kya kya hai laaye Humko pata na khabar ye Le jayega humko kahan Dekho zara tum sambhalna Dekh ke tum zara chalna Kisiko pata na khabar ye Le jayega humko kahan Le jayega humko kahan Le jayega humko Kahaaannn...