Khuda ne jab malakul maut ko ye izn diya Ke roohe hazrate sarwar nikaal kar le aa Rahe khayaal ke shabbir ko na ho eeza Hussain pehle hi zaqmon se choor choor huwa Malak pukara ye mujhse na ho sakega khuda Mai kis tarha se nikaloo badan se jaane Hussain Bahot hi saqt hai ya rab ye imtehane hussain Mai kis tarha se... Laga hai zaqme tabar beh raha hai sar se Lahoo Bhare hai khoon may jaane rasool ke gaysoo Khareeb jake rakhun dil pe kis tarha khaboo Ke is lahoo may to hai fatema ke doodh ki boo Mai kis tarha se... Mai phir in aankhon pe dhaun sitam ye kya Hai zaroor Bichar ke wo ali akbar se hogayi be-noor Nida ye aayi dahan se nikaal jaane huzoor Kaha dahan may to kante pade hai rabbe Ghafoor Mai kis tarha se... Nida ye aayi ke gardan se khainch jaan inki Kaha mai kya karoon gardan pe chal rahi hai Churi Churi pakad ke ye chillati hai koi bibi Na zibha kar mere bache ko mai dua dungi Mai kis tarha se... Nida ye aayi ke seene se khabz kar le jaan Kaha wo teeron se chalni hai ay mere rehman Abhi to maar ke barchi hata tha ek shaitan Aur ab to hai tahe zanon shimr ye quran Mai kis tarha se... Nida ye aayi ke mazloomiyat ke rutba shinaas Kamar se khaich le saabir ke jaan le vasvas Kaha malak ne tadap ke badardo hasrat o yaas Kamar to toot gayi jab se mar gaye abbas Mai kis tarha se... Falak se tab huwa roohul ameen ka ulme Nuzoor Kaha pukaar ke moo dhamp lo baraye batool Pisar ki laash pe kholengi baal binte rasool Sada ye thi maluk-ul maut ki ba huzno malool Mai kis tarha se... Mutee-e-hukm hoo par fikr hai ye yazdan Har ek uzr hai zaqmi lagaun haath kahan Khuda pukara ye mushkil karenge hum aasan Na tu nikaal mere aashiqe ghareeb ki jaan Mai khud nikaal raha hoon badan se jaane Hussain Ke khatm hone ko ab hai ye imtehane hussain