Kishore Kumar Hits

JANI - Maqaam текст песни

Исполнитель: JANI

альбом: Vible


Sapne bht brhe they meri okaat se
Me Mara jata inhi halaton k hath se
Maa sune gaaney wo khush Meri Art se
Mein Sch kaho toh Maa ne Pala brhe laad se
Me jesa likhta ho wesa houn bhi
Mere irado k age dha jaega Toh bhi
Phone bnd ab me nhi rkhta ab rabtey
Aj taali peetein kl tk jalne walo me se ap they
Pareshan me Khasta makaan me
Maa ki duaein Khuda k Hifz o Aman me
Wo Pasbaan he wo Pasbaan tha
Mere irado ko wohi behter janta
Esa lagne laga tha muskilein Meri taak mein
Me us din jaga jis din dekha anso Baap ki ankh mei
Khaak se khaak mein, aag se raakh mein
Me Ghr se nikla krne mushkilo k khatme
Kafir ko roote dekha
Safer per nikle hoe Musafir ko khote dekha
Toh kese mjhe aeinge phr yaad sage
Dekha zamana Apno ko apne dobote dekha
Josh e jawani ki ghlti ka Hisaab kaha
Maa mjhe boli beta bnna tumhe baap sa
Per me khud me khud ka idol
Me khud ko ainey me dekho bolun koi nhi he apsa
Joshe jawani me ki ghltian sudharo
Zindagi ek race he me ese kese haaron
Me likhat me bhi dechuka houn maa ko
K maa fikr na ker me aane ane wala star houn
Kbhi Jeet lagey kbhi lage haar bhi
Koshishoun se hojate Hein berhe paar bhi
Mene Qalam uthaya tha yehi soch k
K yeh duniya bht peeche Meri soch se
Kch dete gali Kch dete hate bhi
Kch mare taali Toh Kch krte hein relate bhi
Hum bar bar toot k udaas they
Nadanio me Ghalat chuney rastey
Hum sb hi K hi ek jese haal they
Hum sb hi dill me kch sawal they
Aye Zindagi tjhse Brhe gille mjhe
K Zindagi me hoe bht malal they
Hustle ki hai Mene Hassad nhi ki bhai
Sultan janta he I never lie
Naseeb se mile savage Umar shareh jese bhai
So fuck the competition chorho Kon kis se high
Bilawajah me in muhskilo ka bojh lo
Isse axha me koi dosra jism khojlo
Ya soch lo mjhme kitne aib they
Me toota hoa mola gheib se hi madad bhejde

Tootey hoey ab wo madad Bheje gheib se
Kbhi kbhi shok bhari prhe jeib pe
Duniya khush hoti mere her ek aib se
Toh bhi hansle mjhpe Agr Tjhe Zeib de
Dua e maghfirat me betha jinhe kho k
Yeh smjh aya Kch nhi milega Qaber pe roo k
Sath wale Brhe Bhai dost hokey
Gher sath chle sage dere dhoke
Duaon se Toh thum jate hein Toofan bhi
Meri kamiyabi se hote heran bhi
Nhi laga wafa ki Umeed insan se
Bin Mafaad Toh Laut te nhi girdan bhi
Hn urooj per tha pehle zawal mera
Hn Sahi suna Khasta tha bht haal mera
Yeh muskilein bhi bht Kch sikhati hein
Kisne kaha he duaein rang nhi latein Hein
Lambi hein ghum ki shaamein mgr shaam hein
Humne, Jana he us kinare jaha lehre bhi nakaam hein
Wo hi maqam tha wohi maqam hai
Me ab bhi wohi houn agr bdla toh woh yeh jahan hai
Wo Maqam tha ab bhi wo Maqam hai
Jana he us kinare jaha lehre bhi nakaam hein

Поcмотреть все песни артиста

Другие альбомы исполнителя

Похожие исполнители

Umair

Исполнитель

JJ47

Исполнитель

Uraan

Исполнитель

AHSAN

Исполнитель