Sheeshe ke jaisa ye dil mera hai Isko na todo yuñ tum Haathon ki mit ti lakeerein ye meri Dil se uthi hai ye dhun Sheeshe ke jaisa ye dil mera hai Isko na todo yuñ tum Haathon ki mit ti lakeerein ye meri Dil se uthi hai ye dhun Iss pal mein mai aur tum hum dono yahan pe Kehdo jo kehna tha, yaadein aur kuch jo baaki thi baatein Chhoo lo aahista se, kya hi haya humse, haath kyu kaampe Meelon ke faasle kitne hum yu qadmo mein naape Baatein puraani jo hoti thi beech Hamare wo aati hain yaad mujhe Qisse piroye jo maine iss dil mein Jalti shama wo kabhi na bujhe Huye khulaase kuch chaahe anchaahe Khwahishein buni thi maine Baatein thi baaki kuch kehne ko ab Na bolu, keh deta pehle Sab kuch humein kyu zaaya sa lage haan Pyaar bacha na darmiyañ Man mein tehelti hai kasak aawaargi Dooriyañ likhengi chiththiyañ Sheeshe ke jaisa ye dil mera hai Isko na todo yuñ tum Haathon ki mit ti lakeerein ye meri Dil se uthi hai ye dhun Sheeshe ke jaisa ye dil mera hai Isko na todo yuñ tum Haathon ki mit ti lakeerein ye meri Dil se uthi hai ye dhun Mai isko dil bolu, ya mushkil bolu Iski mai karu taareefein, ya buzdil bolu Ye ehsaas naye hain, packing chadhi abhi tak inpe Inko tum khologi ya khud mai kholu Chalo ek kaam karte hain Sikka nikaalo tum hum toss karte hain Luka chhupi ke iss khel mein Haq jamaaye ek dooje pe boss bante hain Priyatam sundari ho tum, jaano jalpari ho tum Mai ye jaanu ki kaafi pyaase unseen messages teri raah takte hain Par ye bhi kar do ittela khud ke dil ko, ki mera inbox bhara Daakiya sar pakad ke khada Haseenaoñ ke ye khat mere pate pe utarte hain Aise na chauko choco pie Pie pie har ikai iss sheher ki fida hai mujhpe Kaliyañ bhanwre, galiyañ sadke, ladki ya ladke Farak nahi humein kaun hi marte hain tujhpe Par mai aur mera dil, dono shayad alag hain sochte Toh mujhe shayad, par mere dil ko pakka pasand ho tum Toh apne dil se bolna ki chalo iss waale dil ko nahi todte Ek naya rishta hain jodte Sheeshe ke jaisa ye dil mera hai Isko na todo yuñ tum Haathon ki mit ti lakeerein ye meri Dil se uthi hai ye dhun Sheeshe ke jaisa ye dil mera hai Isko na todo yuñ tum Haathon ki mit ti lakeerein ye meri Dil se uthi hai ye dhun