Nahi khush tu, kaise mein khush rahoon Rang sare kaley dikhey kisko yeh kahoon Zindagi hai soot rahi Mein koi mehboob nahi Jheelo pe mein chalu par Shikwa na dikhey kahi Maano ya na maano Meri hasti ab doob rahi Kashti sambhaalu ya gir ke khud ko utha lu Terey ghumo ko suljha doon aisa seekhu koi jaadu fir banadu sab aaala Chup jaise koi saadhu, lekh gaadu fir bhi raaz hoon Seedha saadha aadmi mein Jeeta jaagta raaz bhi mein Ghoom phir ke fir vapis Khushiyon ko hafiz Sooraj aata hai Le kal aata hai Muskurau yaa nahi Man chillata hai Par sannata hai Mein gaau yaa nahi Mein gau yaa nahi Ab mein gaau yaa nahi Khaali raaston pe khel par mujhe nahi dikh rahe vo Mere rogon ko jhel, fakeeri merey jigrey ko Kasoor ko baha doon iss kala mein Phir saboot pesh bhari si sabha mein Dooba hua naasamjhi mein, baatein karu samjhi hui Roo ba roo naa zindagi se bolu saari sacchi sui Lagey jab unko vo bhadkey ajab se Ghazab chehrey agey bharey hue jab vo khapptey Vo boley toh mein maun, mujhse pooche tu hai kon Mein khulli kitaab panney merey behisaab Mein khulli kitaab panney merey behisaab Yeh shaayar ki zubani hai Yeh dhun koi puraani hai Pyaar mein doobey aashiq ki yeh, sacchi kahani hai Jab zindagi suhaani thi, pass naa mere raani thi Door tha pyaar zara sa, kismat meri sayani thi Tujhe kho doon, mein khush hoon Tu ro de, mein chup hoon Tu boley, mein sun lu Tu chal de naa rokun Tu ojhal, hai sukh kyu Tu ojhal, mein khush kyu Sooraj aata hai Le kal aata hai Muskurau yaa nahi Man chillata hai Par sannata hai Mein gaau yaa nahi Mein gau yaa nahi Ab mein gaau yaa nahi