Kahaani yeh shabdon ki shabdon se shuru Zubaan yeh lafzon mei chunu Sunu, kya khwaab hai kehre yeh mere Kyu, saath yeh pehre hai le rahe Yeh lehrein samjhti hai meri azaadi Sehme se the hum jab mili kala thi Khabar na zara bhi ki Aankhon mei naam tha Jo vo gulaaam, ab rahe asmaano mei ghula hua sa Savere ki kirno ka putla khulla sa Batein banane mei hua rama sa toh unko piro ke yeh geet gun gunata. Mein gaaaney banata hoon din se raat Jazbaaton se khelu phir khud ke hi saath Samjhu na samjhi naa mangu saboot Kyu banna hai cool bhai khudey tu pooch tu Khudey hi joojh, tu khudey majboor kyu Tu khudey majboor kyu Khudsey majboor kyu Hoon main tere saath, sach honge saare khwaab Tera, tera hi hai vaas, mujhe dikhta sab saaf Aankhein kholu teri ajj, pehna du tujhe yeh taj Aaja fad ke tera haath. Jhoomu toh jude yeh khwaab Sapne yeh mere jo Kabhi poore ho ke bhi naa poore ho Yahi meri dua hai Naam kaam khaaas ho Jeetu jab mei aaj ko Maa ki muskaan phir, Naseeb rehmaan Saath mere kafi yaar dost Khade sab haath jod Keemati safar hai yeh Ameeri toh nakal hai Jeet se na badti zindagi Haarne se seekh li Baasath phir seat li, aath unko bheekh di Aam sa mein aadmi Kaam ki koi zaat nai Baat ko ghumana hai Yeh saaf unko chaata hai Jinhone unka chaata hai Baatu na kisi ko bro Kuch toh mujhse seekh lo Bheed se parey chaley jo Cheel ki tarah udey vo Kheer ki yeh chaash cheen Bachpan ka badmaash Bhagey khilono ke peeche Saagar, saagar se sapne yeh seenche Hoon main tere saath, sach honge saare khwaab. Tera, tera hi hai vaas, mujhe dikhta sab saaf. Aankhein kholu teri ajj, pehna du tujhe yeh taj. Aaja fad ke tera haath. Jhoomu toh jude yeh khwaab.