Bol gaata zindagi ke main, banti thi meri kahani Seedhe saade vo khayal the sifar si thi meri kahani Rooh ki jo ek chhavi si dikh gayi Lafz-dhun mein jo thi doorie mit gayi anjaane mein Ooh ooh.ooh ooh... ooh ooh Kabhi na kehta khud se aisi baatein jaane kaise usko chhu gayi Rafeeq-e-kismat ki khatti meethi aadaton ki aadat hone lagi Ooh ooh.ooh ooh... ooh ooh ♪ Lafz baatta raha main soch thi tabhi nahi Mehfil mein uske aaya main guftagu tabhi hui Payaamo ke safar shuru hue, aankhon mein us hi ke khat khile Geet ab toh mere hote poore kyun ki Dhun ka main sufi aur mann ki tu sufi mile ♪ Jo muskuraata main vo qaid kar jo uski tasveerein ban gayi Ho jiski na khabar jo na suni vo aisi dastaan jeene lagi Khayaalo ke nazaro mein vo behti aur behakti phir vo khone lagi Chhupi kahani jo kitaab ke hi lafzo mein vo dhundhti reh gayi Laga jo dar us hi ko khud ke aur khuda ke aitbaar se lad gayi Kalam jo usko di naseeb ne us hi ki vo siyahi ban gayi Bol gaata zindagi ke main, banti thi meri kahani Mehfil mein uske aaya main, guftagu tabhi, tabhi hui