Main hoon ya phir hoon nahi bhi Kho jau toh khushbaseebi Kya chah raha hoon zindagi se Dil-dimaag dono farebi Ankahi khwaab sa, Gulmohar Ansuni baat sa, Gulmohar Naye sawere sa dhalta hain phir jalta hain jo jalta hain Kuch arsein nigal gaya, muda nahi par jhuk gaya Bhool gaya main ghul gaya Baazi mein uljha uljha Toh kya hua agar dhal gaya,vo chaand sa pighal gaya Hain abhi mujh mein zinda Masoom sa qaafila Jo jalta hain bus jalta hain Jhool raha tha bachpan maateele haathon mein Do rupiye ke sikke jitni thi khwahishein Jhool raha tha jhoom raha tha Jamun, kache aam, shaitoot ka khazana main dhundh raha tha Nani ki loriyon sa, Gulmohar Unki kahaniyon sa, Gulmohar Naye sawere sa dhalta hain phir jalta hain jo jalta hain Kuch arsein nigal gaya, muda nahi par jhuk gaya Bhool gaya main ghul gaya Baazi mein uljha uljha Toh kya hua agar dhal gaya,vo chaand sa pighal gaya Hain abhi mujh mein zinda Masoom sa qaafila Jo jalta hain bus jalta hain Jalta hain bus jalta hain Jalta hain bus jalta hain