Nanhe se kanche jab Sikko se badh kar the Mann ki har marzi ko Sar aakhon pe rakhte Kaagaz ke tukde ki Kismat banate the Kabhi kashti kabhi udta Jahaaz usme paate the Chot ke chote bade nishaan Bhi aate jaate the Zakhm kuch pal reh kar Yaadein aur kisse ban jaate the Kisse ban jaate the Bane khile dhule mite vo daag bhi mitti ki saadgi ke Jhoothi jo na dikhe unhi buniyaadon se ajnabee the Khidki, chhatton ko sau topo ki salaamiyaan Pathar se diya hum karte the Dali se tode aam ke khatte swaad ko Milke chakha hum karte the Bair maidaan ke wahi pe bhool jaate the Sukoon ki tarkeebein junoon se azmaate the Heyy... heyy Galti se hi galti Kiya hum karte the Gehre paani se nahi par Chhadi se darte the Aahat sun baarish ki Maidaan mein pohochte the Mitti mein, paani mein Girte the sambhalte the Chot ke chote bade nishaan Bhi aate jaate the Zakhm kuch pal reh kar Yaadein aur kisse ban jaate the Kisse ban jaate the Bane khile dhule mite vo daag bhi mitti ki saadgi ke Jhoothi jo na dikhe unhi buniyaadon se ajnabee the