Din sabka hi dhal jaata, dikhta vo toota sa taara Gustakh dil ka sahara, uska wohi tha ujala Chuppi mein jeete the saare Bhole se darr the humaare Ye raaz mere chhupte rehte sirhaane tale Vo aaj bhi mujhe milte rehte sirhaane tale Nayi nayi raatein jo aati, kuch waisi banne ko chahti Sab milte apne thikaane, ghar pe de jhoothe bahaane Din tha farishton ka saaya, raatein shaitaani pitaara Chuski mein gham ko the peete Par jeene ke din wohi the Ye raaz mere chhupte rehte sirhaane tale Vo aaj bhi mujhe milte rehte sirhaane tale Nayi nayi raatein jo aati, kuch waisi banne ko chahti Khidkiyon se kar ishaarein, aisi hoti thi baatein Dheeme se sannaton mein phir ghar se nikalte the saare Vo gali aur vo sadak phir apne hote the saare Kya pata shayad ab aati unko bhi humaari yaadein Ye raaz mere chhupte rehte sirhaane tale Vo aaj bhi mujhe milte rehte sirhaane tale Nayi nayi raatein jo aati, kuch waisi banne ko chahti