Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko Apko razi na ker paya tu mar jaon ga mai Choti choti kirchiyan ban ker bhiker jaon ga mai Zindagi ka is tarah mujhko maza kia aye ga Dil siyahe k bhanwr mai dobta reh jaye ga Wasta dun apko mai ap k hasnain ka Yaar ghaar-e-sor ka siddique-e-konain ka Ap tu dushman k haq mai bhi dua kertey rahey Bewafa logo sey bhi her dam wafa kertey rahey Ap tu rehmat hi rehmat hain jahano k lia Merey jaise be-amal aur be-thikano k lia Apka hai roothna arz-o-samah ka roothna Arsh ka sarey jahano k khuda ka roothna Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko Apki nazro sey girta hai tu mar jata hai wo Raakh ban ker apney hi qadmo mai bhiker jata hai wo Is tarah tu aadmi khud aadmi rehta nahe Saheb-e-imaan kia insaan bhi rehta nahe Kaisey kaisey dushmano per reham khaya aap ney Aag sey kitney hi logo ko bachaya ap ney Apney jooton apne saaye mai bhita dijiye mujhey Apka nacheez khadem hon dua dijiye mujhey Zindagi ki taiz lehron mai na beh jaon kahin Gard ban ker rastey mai hi na reh jaon kahin Apko khatoon-e-jannat aur ali ka wasta Apko farooq-o-usman-e-ghani ka wasta Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko Zindagi ko ek boht hi mushkil safar darpaish hai Ek mushkil imtehaan bar-e-digar darpaish hai Soch mai doba hoa hon soch hi mai qaid hon Bebasi ghairey hoa hai bebasi mai qaid hon Toot tey jatey hain sarey aasrey jitney bhi hain Beasar hai loag sab chotey barey jitney bhi hain Kis qadar kitna zaruri hai sahara apka Mere qismat hi badal dey ga ishara apka Loag akser shair-e-ashaab kehtey hain mujhey Unki khatir roz-o-shab betaab kehtey hain mujhey Be-amal hon maghfirat ka aik sahara hai zarur Apka her ek sahabi jaan sey pyaara haiz zarur Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko Mere khuwahish hai k unki khoobian likhta rahun Shoq sey mai aasman ko aasman likhta rahun Un k sadqay ap mujh per meharbani kijiye Merey haal-e-zaar per aaqa tawajja dijiye Aapse rishta ghulami ka sada qaim rahey Khuwajgi aur bandagi ki yeh fiza qaim rahey Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko Merey sir per mushkilon ka aasman girney ko hai Zarra-e-nacheez per koh-e-girah girney ko hai Ghup andhairey mai khara hon ae hira k aaftab Purza purza ho rahe hai mere khushyun ki kitaab Merey haq mai apney khaliq sey dua farmaiye Ae mere aaqa karam ki inteha farmaiye Dekhte hain tu mujhey be-aasra kehtey hain loag Ehd-e-mazi ki koi bholi sada kehtey hain loag Kis tarah rokun mai is toofan aur sailaab ko Zehan sey kaise nikalun khofnak is khuwaab ko Mere apni saans bhi ab tu merey bus mai nahe Thak gai hai chalte chalte ab mere loh-e-jabeen Dekh ker dushwaar rahein zindagi ghabra gai Merey ghar tak aatey aatey roshni ghabra gai Sabz gumbad ki taraf uth thein hain nazrain baar baar Apki rehmat ko daita hai yeh sada khaaksaar Khaliq-e-arzo samah sey ab dua kijiye huzoor Meharban ho jaye mujh aasi per rabb-e-ghafoor Mere himmat sey ziada hai pareshani ka boojh Mai utha sakta nahe apne tan-e-fani ka boojh Rah pe chaltey hoa ab dagmaga jata hon mai Saans laney per bhi ab tu lerkhara jata hon mai Lab hila dijiye mere khatir dua k wastey Reham fermadijiye mujh per khuda k wastey Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko