Thoda ajeeb hai ye praani Pyaar jataye na zara bhi Dil ke kareeb hai fir bhi kaafi Aadatein saari puraani Ek puraani kameez inko pyaari Iske fate dhaago se hai yaari Saari zindagi aise kaati Samjhauta hai inka saathi Inka shauqh nahi hai tere shauqo ko rokne ka Inka shauqh nahi hai tere sapne todne ka Ek aise haq se ye bandhe, Jaise ho bojh tale kandhe, Inka farz hai teri asliyat tujhe sonpe! Ek puraani kameez inko pyaari Iske fate dhaago se hai yaari Saari zindagi aise kaati Samjhauta hai inka saathi Ek puraani scooter inko pyaari Uski fati seat se hai yaari Saari zindagi aise kaati Samjhauta hai inka saathi Ye tedhe medhe sawaalo aur shikaayato se tujhko chhedenge, Juthi muthi taarifein chhod na baatein mod sach kehdenge Ye tareeka hai inka, ek tasali paane ka Ye tareeka hai inka, teri taraki naapne ka Samjhauta jaise inka saathi Zimedaari saari nibhaayi Teri tarakki inke liye kaafi Ye kaagaz tera tu kahaani Teri tarakki inke liye kaafi Ye kaagaz tera tu kahaani Ek puraani kameez lage pyaari Ek purani scooter lage pyaari Teri tarakki inke liye kaafi Ye kaagaz tera tu kahaani Maa to maange galtiyon pe maafi Par inke liye Teri tarrakki hi kaafi! Khudki chhod likh rahe teri kahaani Teri kahaani Teri kahaani