Mai aasmano mai kud ke in badalo mai dub jaau Mai chahu toh in badalo mai apne asu bharke inhe barsau Aur mai kya houn mai koun houn is basaat ki geeli mitti pe likh aau Par kya yehi houn mai chahta? Dhur voh saare hai joh pass bolte the Pass voh saare hai joh dhur sahi the Kesa yeh khuda hai darata bhi hai Aur hasata bhi Kesa yeh khuda hai rulata bhi hai aur sambhalta bhi hai Roona asan hai par aasu chupana mushkil Hasna asan hai par yeh roone ke dar se voh bhi na mumkin Par uss badal Mai duba Mai chilate taaro ko bolta ki ab bass bhi karo Akhir voh taaro mai mere sapne bhare hai unhe tootne mat do Kho gaya kho gya kaha hai tu aja na ham seh lenge ham seh lenge Unhe tootne mat do Khona hai kho gaya kaha hai tu aja na ham seh lenge seh lenge Tum akele raho Kese kuch kahaniya adhuri he achi lagti hai Unhe pura sunne ka man nahi hota Kese yeh sapne jhoote he sache hote hai Aakhe kholna ka man hi nahi hota