Dhyaan se suno kalam ki yeh awaz hai Voh kehna sab hai chahta par na sunti yeh awaam hai Mai toh maanu yeh panne hi sabse khaas hai Par tareefo ki taliyon mai miljata aaram hai Aaram kaam ka nahi kya mai akela hi sahi Kahawatien yeh saari ab purani ho rahi Kahaniya hai ab nayi voh bhi adhuri hi sahi Ham toh gaano mai theek matlabi hi toh sabhi Khali kitabo ko kavita se mai bhar raha Na janu khudko 8 gaano Mai tha dhundta Farak bhi kya pade dard gaane ban rahe Adhure hi toh the aur ham adhure hi rahe Haan thakte jaa rahe hai ladna na hai ata khud se Phir bhi bhagte hai khojte hai khud ko khud me Toota houn mai judna kese mujhko mai na jaanta Kaach ke houn saamne na khud ko mai pehchaanta Subha ka intezaar raat bhar se kar raha mai Seher ki roshni ko pardo se chupa rakha hai Andhera hai pasand par taaro se ghabrata mai Kahi voh mujhse mere baare mai na puch le Jyada na padhta logo se farak yeh sifat meri Mere gaano mai hai na khushi voh sifahat teri Khushi toh vyaktiparak khush mai mere dukh mey Yeh Panne kagaz aur kitab mujhe sukh de Meri kahani kalam ne hai ab likh di haan Phir Dard zimmedaari hoti hai kitab ki na Kese jaanu khudko manzil ko na dekh ke mai Kahi pata lage yeh mazilo pe bhi akele hai Dhyaan se suno kalam ki yeh awaz hai Voh kehna sab hai chahta na sunti yeh awam hai Mai toh maanu yeh panne hi sabse khas hai Farebiyo se faaslo ki hi toh akhir aas hai Aas paas koi bhi toh hai nahi Ankahi baaton mai akele hi sahi Yeh voh baatien joh kabhi bhi na kahi Ek din ata jab jaana hota hi toh hai sabhi ko